Yeh bharat hai
un veer jawano ka,
Jahan samman hota aurato ka
Atithi aur kisaano ka,
Yeha bahati hai Ganga ki suddh dhara,
Rahenge sda hum ek hamara yahi nara,
Manaye jate hain id yaha harsho-ullas se,
Khele jate holiya bhi rango aur gulal se,
Kheto ki hariyali hi bharat ki pahchan,
Ugate hai sona bhi mitti se yahan ke kisaan,
Yeh bharat hai
un naujawano ka,
Jo tay karte desh ka bhavishya, vishav me pahchan hain enke ek alag karnamo ka,
Yehan ke log jite hain sirf es watan ke liye,
Kadi dhup ** ya kadkdati thand karte hain mehnat dinbhar do roti aur us pet ke liye,
Yahan thirakati hain nariya kathak ke dhuno par,
Barsate hain phul yahan us thinranga jhande par,
Likh do sabd MANISH bhi bataya apni desh ki pahchan,
Jiski sabheyata aur sanskriti hain sarvopari
Jahan sabhi log ek saman...
ABOUT INDIA IN HINDI