Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"baap" poems
Kanyadaan hua jab pura, Aaya samay vidayi ka Hashi khushi sab kaam hua tha, Saari rashmm adaai ka Beti ke uss kaatar swar ne , Baabul ko jhakjhor dia Puch rahi thi papa tumne, Kya sach-much me chodd dia Apne aangan ki phulwari, Mujhko sada kaha tumne Mere rone ko pal bhar bhi, Bilkul nahi saha tumne Kya iss aangan ke kone me, Mera kuch asthan nahi Ab mere rone ka papa, Tumko bilkul dhyan nahi Dekho antim baar dehri, Log mujhhe pujwaate hai Aakar ke papa inko kyu, Aap nahi dhamkate hai Nahi rokte chacha taau, Bhaiya se v aas nahi Aisi bhi kya nishthurta hai, Koi aata paas nahi Beti ki baato ko sun ke, Pita nahi rah saka khada Umadd pade ankho se aanshu, Badahawas sa daud pada Kaatar bichia si wah beti, Lipat pita se rotii thi Jaise yaado ke akshar wah, Ashru bindu se dhoti thi Maa ko laga god se koi, Maano sab kuch cheen chala Phool sabhi ghar ki phoolwari se koi jyo been chala Chota bhai bhi kone me, Baitha biatha subak raha Usko kaun karega chup ab, Wah kone me dubak raha Beti ke jaane par ghar ne, Jaane kya kya khoya hai Kabhi naa rone wala baap bhi, Phoot-Phoot kar roya hai ............
0
Sep 24, 2015
Sep 24, 2015 at 8:07 AM UTC
KANYADAAN HUA JAB PURA
GHAR KI WO BAHADUR BETI ghar ki wo bahadur beti, Ma ko wo ankhen kholte hi dekhti. darr na Ma tu bhi hai kisi ki bahadur beti. Ma ke anchal ko pakad ke chalti, main teri parchayi or tu hai mera kal wo isko samajhti, khilkhilate mahakte phool si wo badi hoti, anjane loge se hi milte, jhijhakte hue wo sahamti. Par ab wo beti ki kuch ye thi kahani, usko ek alag hi dunia hai banani. sambhal k chal tu beti, galat ** to chup reh to beti. kyonki Ma-Baap ki hai wo bahadur beti. Seekh k zindgi ki sachchayi, ek alag dunia hai banayi. khushi khudme hi dhoondne lagi, bheegi palke yun hi sookhne lagi. Ma ki parchayi banne ki chah me, aagayi wo bhi pyar ki raah me. usse rishta yun judne laga, sunhara kal phir dikhne laga. age kadam darr k badhaya, pyar ne jispe bharosa dilaya. Ab zindgi ne yun karwat li, kaanch k us rishte me wo tut gayi. arre darr mat tu hai ghar ki bahadur beti. ashkon ko wo chupa rahi thi, girte hue kadmon ko sambhal rahi thi, diye hue zakhmon ko chupa rahi thi, us pyar ko ab bhi dua me mang rahi thi. bilakhti, sahamti phir kadam ko badha ke kahti MA, MAIN HU TERI BAHADUR BETI......
0
Jun 15, 2016
Jun 15, 2016 at 9:30 PM UTC
GHAR KI WO BAHADUR BETI
Kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay kitnay waday torhay hein? kabhe pucha hay apnay app say kay kitnay logouin ka dill tora hay? kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay apne eik nazar say kis kis ko apne he nazrouin mein gerayya hay? - nae pucha nah? kese din pucho gay nah tou mrnay ka dill chahy ga, zindage kay naam say chirnay lago gay. Kabhe pucha hay kay tum Zindage kay naam per eik beyqaar zindage jee rahay hou? aur phir kehthy hou ''yaar kya krien zindage he esse hay''. Kabhe Zindagi ke kitaab ko khol kr tou dekho kya kya rakha hay uiss mein. Zindage bahot he haseen hay sirf hum masroof hein apne duniya mein wou duniya jis mein kuch nahe sawaye humaray. Ajj loug dusrouin ke mintein krtay hein kay ''ruk jau'' ''na jau'' jb kay mery khayaal mein ye loug bhul chukay hein kay '' jis ko jana hay uis ko jana hay chahy tum apne jaan kyun na deh dou''. Ajj tou logouin ke zindage andhere hojaate heh jab koe uinka ''dost'' ya ''yaar'' chor jaye aur wo uis khuda ko bhool jaatay hein jis nay uis ko usse ''dost'' ya ''yaar'' say milaya tha. Hum loug tou apnay Khuda ko bhe bhul chukay hein. Wo Khuda jis kay pass humnay waapis jana hay wo Khuda jis kay bagheir humare koe ukaat nae. Barhay Unchay gharouin mein reh reh kr apnay app ko Khudha samjhna shuru krdeya hay humnay. Ess zamaanay mein koe kese ka Dost nae hota barha Dost Dost krtay hou na jab doob rahay hou gay kudhe dekhna kay sab DOST tamasha dekh rahay hogein aur tum zindage ke tarf aanay ke bher-poor koshishein kr rahay hou gay, tab apnay app say puchna kay ye wo DOST thay jin kay leye tum apnay maa-baap say laray? uin kay samnay uncha bolay? sharmindage hoi? Ajj hum itnay ''self-obssessd'' hein kay dusrouin ko dekh kay lagta hay chunte jitni ukaat hay uiss ke. Hum apne he Duniya mein bahot dur nikal aayein hein, asal duniya say bekhabar, asal dostouin say hum la-taluq ** chukay hein. Hum ajj apnay app mein he kho chukay hein. Apnay rab ko humnay kho deya. Rab ko kho deya matlab Sub kuch kho deya ! tou abb hamaray pass koe raasta hay? -Haan wou rab 5 martaba bulaata hay tumhein apne taraf, jau uiss ke taraf aur apne ASAL ZINDAGE ke taraf waapse aou.
0
Sep 16, 2016
Sep 16, 2016 at 10:00 AM UTC
16-9-16

Continue reading...
28
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske Usi metro ki tarah par dheere zara Thandi hawayei hain. Usme goonjta mera aaj khada Kuch thandak hai inn hawaon mein Aur bohot sara sukoon bhara Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak? Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin? Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya Kya raambaan sukh yahi toh nahi Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi Kya Ramcharitmanas mein hanumat Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi? Aisa hi amritmay bachpan mein, yaad hai mujhko lagta tha Zameen se shuru uss lambi khidki Se yahi chaand chamakta dikhta tha Mama sa ban chup shant bhav se Kuch baatein meri sunta tha Kyunki khud bhumi par bistar pe so Holi mujhe khilayi thi Khud bhookhe reh uss ke paiso Se mere bhai ko idli chakhayi thi Bohot pasand thi usko uski idli Aur rangbhari mujhe holi meri Kya kabhi unhen main unka wapas Ye rinn chukta kar paungi Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar Unke liye itna kar paungi? Kya usi chaand ki thandak si khushiyan Unki jholi mein bhar paungi? Kya bhool maaf karne ki hadd Ko paar kar kar ke thake nahi wo? Kya raat bhar bhi jagkar subah Hans dawa banna bhoole nahi wo Kya insaani roop mein hain Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
0
Nov 29, 2019
Nov 29, 2019 at 10:16 AM UTC
Maa Baap
Jo hamare aankhon me bade bade sapne sazote hain, Jo hamare sanskaro me pyar ke bij bote hain, Jo  humare sapno ke liye din-raat ek kar dete hain, Aise Hamare Maa-baap hote hain, Jo hamari khushi ke liye khud rote hain, Hamari acchi nind ke liye wo nahi sote hain, Naa karo kabhi bhi Maa-Baap ka apmaan, Kyuki ye bhagwaan ka roop hote hain, Mata-Pita me shaktiya anek hote hain, Dur rahkar bhi ek-dusre se sda ek hote hain, Putra kuptra ** jaatey hai pr, Maa-Baap hamesha nek hote hain, Maa-Baap ke andar ishwariye shakti vidyaman hain, Enke andar samst shristi ka gyan hai, Hum tou kuchh bhi nahi the es naye jahan me, Enhi se hamara naam enhi se hamara pahchaan hain....
0
Mar 27, 2018
Mar 27, 2018 at 5:21 AM UTC
Mata-Pita....
Yaha Maa beti behan patni parivaar ki Shaan h... Ha ye Mera ni hamara hindustan h.. Yaha Har muskilo ka Hal nhii... Par Har javaab Geeta, Bibal, aur kuraan h... Yaha beta aur beti dono parivaar ki Shaan h.. Ha ye Mera nhii hamara hindustan h.. Jahan Har muskilo mein apno ka saath h.. Bacho k sir par Maa baap ka haath h.. Yaha beta Maa ki aur beti Papa ki jaan h.. Ha ye Mera nii hamara hindustan h.. Jahan alag alag bhashao ka Mel h hockey yaha ka priy khel h . Jhagde bahot h par usse jyada pyaar h... Daat padne se jo bachae vo yaaro ka yaar h.... Yahan alag alag desho ki mithas aur sanskaar h... Yahan alag alag desho ka rang punjab kashmir aur rajasthan h... Ha hme garv h is desh par qki ye Mera nhii hamara hindustan h....
0
Mar 20, 2018
Mar 20, 2018 at 1:39 AM UTC
Hamara hindustan
Mai  jee raha tha adhoora aaj tak, Chahiye the saath tera mujhe har waqt, Maangta tha tujhe paane ke hazaro mannat, Iss baar Khuda ne sun li thi meri yeh ibadat , Aaj hai mere paas ek behen, joh sune meri har baat, Ek behen, joh jhele mere bachpane ko har raat, Dil se keh raha hoon, meri behen meh kuch toh alag hai baat, Maa baap ne sabh kuch diya, par kuch cheez thi adhoori, Aaj tum aagayi ** aur voh cheez ** gayi hai poori, Meri pyaari behen, tum ** itni nek, Mai fakr se keh sakta hoon, tum ** laakhon meh ek, Laakhon meh ek.... Pratyush.
0
Jul 1, 2019
Jul 1, 2019 at 10:15 AM UTC
Meri Pyaari Behen!!
Agar zindagi mein kabhi koi musibat ya bura waqt aaye toh hume yaad kar lena ya humse baate share kar lena Par kabhi aisi harkat mat karna jisse tumhare maa - baap ya parivaar ko suffer karna pade
0
Jul 1, 2020
Jul 1, 2020 at 11:35 PM UTC
DEAR BEST FRIEND
"Duniya meri bachchon mein simat kar chali. .... Shohar ki maa baap ki khidmat kar chali. .... Kirdaar ahm mera zamane ke chalan mein.... Aurat *** main har simt mohabbat bhar chali. ..."
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 6:51 AM UTC
Aurat (woman)