Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
AWAIS HABIB Feb 2019
Khamosh reh kr b khamosh rehna
Ajb ehsas hai ye zindagi

Jo na chal ska usi ko chalana
Ajb karwaan hai ye zindagi

Jisko b chaho bai wfa nikly
Ajb mohbt hai ye zindagi

Baaty bht han btany k liay
Zamana klam hai ya ye zindagi

Ab to bs thak sa gaya *** awais
Aisa lazawal sfr hai ye zindagi
AWAIS HABIB Oct 2018
bicharhny ka gham nahe mj ko
bs yaado ki brsaat yad atti hai

fursat ki b khushi nahe mj ko
bs baato ki rawaani yad atti hai

judaey to waisy b satoon-e-mohabat hai
pr kia kru dasht-e-tanhaey yad atti hai

rishty to bht hn yaha likin
us rishta-e-bai naam ki yad atti hai

ik yad to bht barhe cheez hai awais
gham khwaar-e-dill ki hr baat yad atti hai
AWAIS HABIB Mar 2019
Tum kis apnayat ki baat krty **
Yahan to hr koe paraya sa lgta hai

Wo or zamana tha jb gulshan mai bahaar hoti thi
Ab to hr mosam khizaa sa lgta hai

Iss mai hamari ghaulti nahe k badal gy ham
Rukh badal lyta hai dill jb na ashnaa sa lgta hai

Roty huwy dil ko akhir kon pehchaan pyga
Bahir sy jo chehra, muskurata huwa sa lgta hai

Bughaz, gheebat k maary yahan log
Wajud andr sy khatm hota huwa sa lgta hai

Ary! Ye dukrhy han iss jahan k ay awais
Jahan sy tu ab rukhsatt hota huwa sa lgta hai

— The End —