Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Apr 2018
Waqt bhi kitna khubhsurat hai ,
Aate jaate logon ki duniya ujaad deta hai .
Kehte hain waqt saare ghav bhar deta hai ,
Asliyat tou ye hai waqt dard ke saath jeena sikha deta hai .

Do pal ki hai ye zindagani ,
Na do kisi ki ankhiyon mein paani.
Jo lamhein hain chaliye muskurakar bita le,
Jaane kal zindagi kaun se mod par lakar khada kar de .

Kya pta kal saanse hi tham gayi ** ,
Kitna bhi pakad lo .
Fisalta jaroor hai ,
Ye waqt ki fitrat hai yaaro badalta jaroor hai.

Band ghadi bhi din mein do baar sahi samay btati hai,
Man se na haarna aye dost meri tumse gujarish hai .
Maidan se haara dubara jeet sakta hai ,
Man ke haare haar hai man ke jeete jeet hai .

Waqt kahega har baar main lautkar na aaunga,
Khuda Jaane wo hasayega ya rulayega.
Waqt har chiz ki parakh sikha hai jaata ,
Kisi ke khatir ek pal bhi nahi hai theharta.

Waqt ne kisi ko jina sikhaya hai,
Waqt ne sach ka aaina dikhaya hai,
Waqt ka azuba dekho yaaro,
Kisi ko raja tou kisi ko rank banaya hai,

Waqt ne hamara ahamiyat btaya hai,
Waqt ne hume kaanto pr chlna sikhaya hai,
Jisne bhi waqt ko gale lagaya hai,
Use waqt ne us aasmaa jaisi uchai pr pahuchaya hai,

Kitni azeeb baat hai,
Waqt se din waqt se raat hai,
Aaj shaam hai tou kal savera bhi hoga,
Success bhi milegi aur danka bhi bajega,

Waqt ki ahamiyat ko jo log bhul jate hai,
Ant me sirf whi log aansoo bahate hai,
Rote hua es duniya me aate hai,
Vyarth jivan jikar rote hue chale jate hai....✍


Collaboration  by Manish Shrivastva  and Sonia Paruthi
Sachin Singh Oct 2017
Me dil ka bnda hu janaab dimaag se sochna nhi aaya...
Baato ko kese bna k bolu, yr mjhe bolna nhi aaya...
Janta hu hota h kuch logo k chehre pe naqaab, pr kya Karu...
Fayda utha lete h wo mera, kyoki mjhe naqaab utarna nhi aaya...

Fareb ka choga pehan k, dilo Ko jeetna nhi aaya...
Lagta h bewkoof hu jyada, duniya ki reet samjh hi nhi paya...
"Yaha ki yhi reet h yhi riwaj h...
Har ek acha h, har ek k chehre pe naqaab h...
Masumiyat, asliyat, Mohabbat, izzat, sb kho Gaya h show-off k daldalo me...
Yaha pe to yaro Jese sb raeesh h or sb nawaab h..."
Agr esi h duniya ki reet, to me Anjaan hi **** hu...
Kyoki esa show-off to mjhe karna hi nhi aaya...
Me Dil ka bnda hu janaab, dimaag se sochna hi nhi aaya...

— The End —