Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Tannu kumari Aug 2020
UMMEED


Sach kahu to tabaah hu mai,
Tere jane ke baad khush kaha hu mai.

Arso ** gye tujhe chod ke gaye,
Fir bhi usi jagah ruka hu mai.

Tere laut aane ki ummeed mere aage badh jane se aachi hai,
Par tu nhi smjhegi ye baat tu to abhi bachi   hai .

Tu nahi aayegi ye khayal hi bahut darata hai,
Par tu jarur aayegi ye khayal dil me dugni ummeed jagata hai.

Kaash ke koi karishma ** jaye,
Tera mera milan iss martaba ** jaye.

Tu aaye mere jiwan me khushiyon ki saugaato ki tarah,
Or jo gira tha meri ummeedo ka mahal firse wo ek martaba khada ** jaye

Kaash ke koi karishma ** jaye.
                                              ~Tannu.
Follow me on insta @tannu2707
Sk Abdul Aziz Aug 2022
Tu chali gayi thi bina kuch kahay
Mera dil ek veeran reygistaan ** gaya tha
Andhera hi roshni lagta tha
Tanhayi kay siwa kuch nahi tha
Ab itnay arso baad tu waapis aayi hai
Par tu abhi bhi mujhsay kuch bolti nahi  
Ekbaar mujhsay kuch keh toh sahi
Meray kaan taras gayay teri awaaz suun nay ko
Nafrat ki nazar se hi sahi
Par ekbaar mujhay dekho toh sahi
Meri aankhen taras gayi hai
Teri aankhon say milnay ko...
(Urdu and Hindi)

English translation

You had left without saying anything
My heart had become an empty desert
The darkness used to feel like light
There was nothing except loneliness
Now you've come back after ages
And yet you still don't talk to me
Please just talk to me once
My ears are yearning to hear your voice
Even it's a look of hatred
But please look at me once
My eyes are yearning to meet your eyes...
Ashish Dube Mar 2020
Ajab si khamoshi hai
Hawao me ek roshani chhae hai
Logo ko bade arso baad fursat mili apno ke bicha rehane ki kyun ki
Corona ne chaaro aur koharam machae hai

Loga ko aj smjha raha is musibat me daulata kaam na aae hai
Bs ghar se bahar na nikalo sarkar ki itni hi guhaae hai
Phir bhi kuch sadko pe ghuma rahe hai
Shayaad unko baat smjha na aae hai

Dusaro ko kyun jokhim me daal rahe **
Waise hi itni badi aafat china ne laae hai
Doctor desh sb to lada rahe hai
Ab hume bhi saath mila kar ladani ye ladae hai

Swastha rahe ghar pe rahe.
This poem is relates to current situation, that means world wide this epidemic going very critical so this poem is basically in hindi language and poet wants to give us massage that we should stay safe at home.

— The End —