Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Abhi abhi Mila tha tujhse
Phir kyu dur chala gaya tujhse
Nadiyon ki muskurahat
Phirne laga mann yeh mera
Teri woh adayein...
Bekaabu e ishq


Phir kyu
Phir kyu
Phir kyu
mein dur jata khud se
Jaise rooh meri ghul gayi
Pichhle saat samundar se
Yaad me tanhai me
Oski nazar me
Kaed hu
Abhi bhi
...


..

Shilsila anokha
Manzil nashe se chur
Aur Safar mein
Hamsafar ki parwaah
Mein beparwaah hokar dhoondta
....






..
Sach me
Ya
Phir
Sabhi ek sapna hai
Jo
Dil ke paas bhi
Aur
Dil se dur bhi
Ek paheli
..
Shalini Pandey Apr 2018
Mausam bindaas hai
Fir bhi dil udaas hai
Sab kehte hain boondein khushiyaan lehraati hain..
Fir Kyun mujhko ye sisakte aanso lagte hain

Na jaane kaise ye reet hai..?
Shrishti ki khushi..meghon ke rone mein..
Dharti ka adhikaar ya aasmaan ka badappan..
Jaane kaun sahi hai kis roop mein..?

Adhbhut anokha..
Be-missal pyaar..
Na dharti per ** sookha..
na aasmaan ** kaala..!!!
Love between Earth and Sky
Siddharth Ray Feb 2020
Bhaiyon aur behnon
Aao karein charcha unki
Jinki leh na bahe toh
Hojata hay ghanghor apraadh
Fir mehek achi ** ya buri
Dil mein bas reh jati hay baat
Zaika hai inka bhi anokha
Magar chonk ke bina kaisa swad
Aao karein charcha unki
Jisse hum khetey hain jasbaat
Apni marzi ke yeh hain maalik
Time par dikhate hain aukaat
Kabhi bina namak,
Aur kabhi cheeni *** ** toh
G par dil khol dete hain laath

— The End —