Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Murari mohan Feb 2018
Khair choro ab rahney bhi doh,
Beetey wqt Ko jubaa pr aaney bhi doh,
Bhut Khel li Khel isq-mohbat ka,
Bachpan Ko jra zindagi se rubru honey doh!!

Bichurey saal Huey,
Na yaad hum aaye na tum,
Jaaney kaisey sbhi begaaney Huey,
USS gali se kyu anjaaney Huey!!

Sidhiyo pr chadhna seekha,sang mitti Mai girna,
Dosti ka mtlb ** ya pyaar ka fsana,
Hum sabney yhi seekha zindagi ka saath nibhana!!

Kya tum bhool gye wo yaadey,wo baatey,
Ghr jaaney ke raastey,
Barsaat Mai bheegtey,kichad Mai kudatey,
Bus ke pichey gulaab liye firtey,
Koi kuch khey toh whi adig ** jaatey!!

Kitni haseen hai wo yaadey, Bachpan ki baatey,
Fir kyu ek dujey se begaaney Huey,
USS gali se kyu anjaaney huey,!!

Khair choro ab rahney bhi doh,
Zindagi Ko Bachpan ki meethi yaado se rubru toh honey doh!!
Veena Iyer Aug 2020
Zindagi bas yuhi chalti jaarahi
Jaise ** kisi shaayar ka tassavur
Jo kabhi rokey na rukey ,
Jiske anjaam se wo ** bekhabar
Jo Zara si hawa se behek jaaye
Jismein chehre lage kuch jaane se
Magar jinke iraade ** anjaaney

Jahaan har koi hai apne hi dhun mein diwaana
Koi Kare  kisi aur ka parwaa na
Bade bade ** imaaratein jahaan
Par jinke dil ** bas itna hi wahaan

Jahaan hoti hai itni aawaaz
Ki kisi ko na ** dhadkano ka aaghaas
Har koi Uss makaam ko pohachna chaahe
Jo aasmano tak ko bhi paar kar jaaye

Yeh dil bechaara Kare bhi to kya
Kisi ke armaan adhurey rehgaye bhi tho kya
Dil ki aawaaz koi na sune bhi tho kya
Koi hame wahin chod jaaye bhi tho kya

— The End —