Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari,
Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari,

Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha,
Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha,

Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete,
Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete,

Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar,
Hum whi jo roshni rakhte, hai sabki chaukhto par,
Un ujalo ka wahi, paigam le aye hai hum,

Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.

Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai humne,
Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai humne,

Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai,
Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai,

Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai,
Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai,

In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya,
In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya,

Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati,
Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati,
Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum,

Hum hai desi hum hai desi hum hai desi,
Ha magar har desh chaye hai hum.
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
AO Baghi Dec 2017
"Raat Gaye"
hum sochte rahe, Raat Gaye
Kyun itni laparwahe, Raat Gaye
Hum sochte rahe, Raat Gaye
Ik bechaini c raat gaye
hum sochte rahe Raat Gaye
Jo sath thy wo chor gaye
hum sochte rahe Raat Gaye
Jo sath thy wo q chor gaye
raat gaye, ehsaas naye
andaz jo thy wo badal gaye
raat gaye, khuwab naye
ankhon mein anso chor gaye
raat gaye, kyun yaad rahe
Some words on late night.
Hum  to  yun  aam   hai,  pur naaz    hotey
Warna  ap   par   bhi   asar   andaz   hotey

Tere  saaz  se  kaha  mili   hai  meri  awaaz
Phir   tere   asraar    ke    humraaz   hotey

Dikhatey hum manatey  hai  yaaru ko kaise
Kabhi  aa.kar wo hum se  to naraaz  hotey

Is Ishq me daikhey  hain  jo  Qatal gah  bhi
Kaash  us   inteha  ke  hum  aghaaz   hotey

Is  bey-jaan shayiri se wo ro padi  Sharafat
Shayir na hotey, kam az kam jaanbaz hotey
A free verse Urdu poem.

— The End —