Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"anchal" poems
Maa ki mamta ko dekh maut v aage se hat jati hai gar maa apmanit hoti dharti ki chaati fat jaati hai ghar ko pura jeevan dekar bechari maa kya pati hai rukha sukha kha leti hai paani *** kar soo jati hai Jo maa jaisi devi ghar ke mandir me nahi rakh sakte hai wo lakho punya bhale kar le inshan nahi ban sakte hai maa jisko v jal de-de wo paudha sandal ban jata hai maa ke charno ko chukar paani Gangajal ban jata hai Maa ke anchal ne yugo-yugo se Bhagwano ko pala hai maa ke charno me jannat hai Girijaghar aur Shivala hai Himgiri jaisi unchai hai sagar jaisi gahrai hai dunia me jitni khushboo hai maa ke anchal se aaye hai Maa kabira ki sakhi hai maa tulsi ki chaupai hai meerabai ki padawali khusru ki amar rubai hai maa angan ki tulsi jaisi pawan bargad ki chaya hai maa ved richao ki garima maa mahakavya ki maya hai Maa maansarovar mamta ka maa gomukh ki unchai hai maa parivaro ka sangam hai maa rishto ki gahrai hai maa hari dubh hai dharti ki maa keshar wali kyari hai maa ki upma kewal maa hai maa har ghar ki phulwari hai Saato sur nartan karte jab koi maa lori gaati hai maa jis roti ko chu leti hai wo prasad ban jati hai maa hasti hai to dharti ka jarra-jarra muskata hai dekho to dur kshtiz ambar dharti ko sheesh jhukata hai Mana mere ghar ki deewaro me chanda si murat hai par mere man ke mandir me bas kewal maa ki murat hai maa saraswati lakshmi durga ansuya mariyam sita hai maa pawanta me ramcharit manas me bhagwat geeta hai Amma teri har baat mujhe vardaan se badhkar lagti hai he Maa teri surat mujhko bhagwan se badhkar lagti hai saare teerath ke punya jaha mai un charno me leta hu jinke koi santan nahi mai un maawo ka beta hu Har ghar me Maa ki puja ** Aisa sankalp uthata hu Mai dunia ki har maa ke Charno me ye sheesh jhukata hu.....
0
Aug 6, 2015
Aug 6, 2015 at 3:35 AM UTC
Maa - Part 2

Continue reading...
68
Jab aankh khuli to amma ki godi ka ek sahara tha uska nanha sa anchal mujhko bhumandal se v pyara tha..... uske chehre ki jhalak dekh chehra phulo sa khilta tha uske stan ki ek bund se mujhko jeevan milta tha haatho se baalo ko noocha pairo se khoob prahar kia phir v us maa ne puchkara humko jee bhar ke pyar kia Mai uska raja beta tha wo ankho ka tara kahti thi mai banu budhape me uska bas ek sahara kahti thi ungli ko pakad chalaya tha padhne vidlaya bheja tha meri naadani ko v neej antar me sadasaheja tha Mere saare prashno ka wo fauran jawab ban jaati thi meri raho ke kaante chun wo khud gulaab ban jaati thi mai bada hua to college se ek rog pyar ka le aaya jis dil me maa ki murat thi wo ramkali ko de aaya shaadi ki pati se papa bana apne rishto me jhul gya ab karwa chauth maanta hu maa ki mamta ko bhul gya hum bhul gye uski maamta mere jeevan ki thati thi hum bhul gye apana jeevan wo amrit wali chaati thi Hum bhul gye wo khud bhukhi rah karke hume khilati thi humko sukha bistar dekar khud geele me soo jaati thi hum bhul gye usne hi hotho ko bhasha sikhlayi thi meri neendo ke lie raat bhar uss maa ne lori gaayi thi hum bhul gye har galti par usne danta samjhaya tha bach jau buri najar se kala teeka sada lagaya tha hum bade hue to mamta wale saare bandhan tod aaye bangle me kutte paal laye maa ko vridhaashram chod aaye apano sapno ka mahal girakar kankar -kankar been laye khudgargi me uske suhag ke aabhushan tak cheen laye Hum maa ko ghar ke batware ki abhilasha tak le aaye usko paawan mandir se gaali ki bhasha tak le aaye to be continued ........(next part may be in next week)
0
Aug 3, 2015
Aug 3, 2015 at 3:04 PM UTC
Maa

61
GHAR KI WO BAHADUR BETI ghar ki wo bahadur beti, Ma ko wo ankhen kholte hi dekhti. darr na Ma tu bhi hai kisi ki bahadur beti. Ma ke anchal ko pakad ke chalti, main teri parchayi or tu hai mera kal wo isko samajhti, khilkhilate mahakte phool si wo badi hoti, anjane loge se hi milte, jhijhakte hue wo sahamti. Par ab wo beti ki kuch ye thi kahani, usko ek alag hi dunia hai banani. sambhal k chal tu beti, galat ** to chup reh to beti. kyonki Ma-Baap ki hai wo bahadur beti. Seekh k zindgi ki sachchayi, ek alag dunia hai banayi. khushi khudme hi dhoondne lagi, bheegi palke yun hi sookhne lagi. Ma ki parchayi banne ki chah me, aagayi wo bhi pyar ki raah me. usse rishta yun judne laga, sunhara kal phir dikhne laga. age kadam darr k badhaya, pyar ne jispe bharosa dilaya. Ab zindgi ne yun karwat li, kaanch k us rishte me wo tut gayi. arre darr mat tu hai ghar ki bahadur beti. ashkon ko wo chupa rahi thi, girte hue kadmon ko sambhal rahi thi, diye hue zakhmon ko chupa rahi thi, us pyar ko ab bhi dua me mang rahi thi. bilakhti, sahamti phir kadam ko badha ke kahti MA, MAIN HU TERI BAHADUR BETI......
0
Jun 15, 2016
Jun 15, 2016 at 9:30 PM UTC
GHAR KI WO BAHADUR BETI
when this endless anchal of dhanekhali sari continues to make dip-swimming in the bottomless water of the paddy and if into the colour of her fore-finger enters repeatedly some whole-noons of the chot-boshekh and from the more depth of the ceiling-fan comes out the ordour of the open-hair of the village-orange then with that lac-saliva wouldn’t an easy pandel be constructed on the roof its water will be made begin as well that white cloud … that life of this concrete … beforehand to it … with a garland of flowers of the sun-plant around her neck… let her be seated on this branch of peepul branch… for once taking the warmth of the kites flown after having a thread-cut let the cows of man be productive by a few inch more
0
Sep 14, 2010
Sep 14, 2010 at 5:34 PM UTC
high-yielding verses