"aisay" poems
Kisi ki wafa ko karobar na samjho..
Begarz ** kar kare jo yaad aisay yaar ko bekar na samjho..
Na kar sake jo inkaar use izhaar na samjho..
kisi ki khamoshi ko deewar na samjho..
Betakalluf hokar jo kare baat..
Aisay dost ko hoshiyar na samjho.
Jun 20, 2019
Jun 20, 2019 at 1:10 PM UTC
Angaray, Shamma-n kay aagay
Yun dikhtay hain,
Jaisay shola bujh sa jayy kissi udaas shaam main
Aur kuch nahin
Yay ehsaas ki maut hai
Jiss Kay Kafan main paiwasta chaid
Najanay kuen sakoot orhay baithay hain.....
Insaan ka wajood itna aarzi kuen hai
Kay jab roay tou bulbulay ki manind phatt jay
Aur jab ** saakan, tou kainaat naan chalay.....
Kia karna aisay **** ka
Jo khud ko jaga naan sakay
Har simt hai bass hoo
Haq hoo
Ya hoo ka alam
Har lafz main bass hoo....
Anbaar hai kay uthaya nahin jata
Har baar sulaya nahin jata
Bass chain aur roh ki ikk jang hai
Aur uss jung ka haara ikk thakka insaan......
Dec 12, 2019
Dec 12, 2019 at 5:31 PM UTC