Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mai bhav suchi un bhavo ki
jo bike sada hi bin tole
Tanhai hu har us khat ki
jo padha gya h bin khole..

Har aanshu ko har patthar tak
pahuchane ki laachar huk
Mai sahaj arth un sabdo ka
jo sune gye h bin bole..

Jo kabhi nahi barsha khul kar
har uss badal ka paani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki Ram kahani hu..

Ki jinke sapno ke Taj -Mahal
ban ne se pahle tut gaye
Jin haatho me do haath kabhi
aane se pahle chut gaye
Dharti par jinke khone aur
paane ki ajab kahani h
Kishmat ki devi maan gye
par pranay devta ruth gaye..

Mai maili chadar wale uss
Kabira ki amrit vaani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki raam kahani hu..

Kuch kahte hai mai sikha hu
apne jakhmo ko khud see kar
Kuch jaan gaye mai hashta hu
bhitar bhitar aanshu peekar..

Kuch kahte hai mai virodh se
uppji ek khuddar vijay
Kuch kahte hai mai marta hu
khud me jeekar khud me markar..

Leekin mai har chaturai ki
sochi samjhi  naadani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki Ram kahani hu
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Kanyadaan hua jab pura, Aaya samay vidayi ka
Hashi khushi sab kaam hua tha, Saari rashmm adaai ka
Beti ke uss kaatar swar ne , Baabul ko jhakjhor dia
Puch rahi thi papa tumne, Kya sach-much me chodd dia

Apne aangan ki phulwari, Mujhko sada kaha tumne
Mere rone ko pal bhar bhi, Bilkul nahi saha tumne
Kya iss aangan ke kone me, Mera kuch asthan nahi
Ab mere rone ka papa, Tumko bilkul dhyan nahi

Dekho antim baar dehri, Log mujhhe pujwaate hai
Aakar ke papa inko kyu, Aap nahi dhamkate hai
Nahi rokte chacha taau, Bhaiya se v aas nahi
Aisi bhi kya nishthurta hai, Koi aata paas nahi

Beti ki baato ko sun ke, Pita nahi rah saka khada
Umadd pade ankho se aanshu, Badahawas sa daud pada
Kaatar bichia si wah beti, Lipat pita se rotii thi
Jaise yaado ke akshar wah, Ashru bindu se dhoti thi

Maa ko laga god se koi, Maano sab kuch cheen chala
Phool sabhi ghar ki phoolwari se koi jyo been chala
Chota bhai bhi kone me, Baitha biatha subak raha
Usko kaun karega chup ab, Wah kone me dubak raha

Beti ke jaane par ghar ne, Jaane kya kya khoya hai
Kabhi naa rone wala baap bhi, Phoot-Phoot kar roya hai ............
Copyright© Shashank K Dwivedi
Website :- www.skdisro.weebly.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Ki haar gaya tan tan man  puakar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe
Ki jis pal haldi lepi hogi tan par maa
Jis pal sakhio ne saupi hongi saugaate
Dholak ki thappo me , ghunghroo ki runjhoon me
Ghulkar faili hongi ghar me pyari baate
Uss pal meethi si dhun , sune kamre me sun
Roye man chausar par haar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe .....
Haar gya tan man ..........re haar gya re..

Kal tak jo humko , tumko milwa deti thi
Un sakhio ke pprashno ne toka to hoga
Saajan ki anjuri par  anjuri kaapi hogi
Meri sudhio ne rasta roka to hoga
Uss pal socha man me aage ab jeevan main
Jee lenge hans kar bisaar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe ...
Haar gaya tan man ....re haar gya re

Kal tak jin geeto ko tum apana kahti thi
Akhbaaro me padhkar kaisa lagta hoga
Saawan ki raato me saajan ki bahoon main
Tan to sota hoga par man jagta hoga
Uss pal ke jeene me aanshu *** lene me
Marte hai man hi man maar kar tumhe
Kitne ekaki hai pyar kar tumhe
Haar gaya tan-man ...re haar gaya re..
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro

— The End —