"aahe" poems
Is dil ko na koyee our Manzoor hota hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai
Milna kyo huaa
Jab hona tumse dur hota hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai
Yaad bhi tera aisa
Raat ** ya din
Har pal tera khwab hota hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai
Shikayat Kya Kare unse
Ki dard unka bhi hame takleef deta hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai
Is dil ko na koyee our Manzoor hota hai
Tadapta hai Dil lekin
Aahe bhar ke rota hai
Apr 6, 2020
Apr 6, 2020 at 2:06 PM UTC
_dekho, dekhte rehte,
chup-chaap hi sahi
bolte kyu nahi kuch bhi?_
inn nazron ka bahaane dena-
maano ek tarah ka chupana
uss junoon ko,
jinki ye aahe bharti;
uss moh ko,
jinki ye ibaadat karti;
aur uss pyaar ko,
jinke ye geet gungunati.
Sep 9, 2025
Sep 9, 2025 at 3:18 AM UTC