Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shivam Porwal Sep 2017
Chalo ! Chalo aaj kuch esa kiya jae,

Apne Sapno ko Haqeeqat se Joda jae,

Ye dono 1 dusre se bilkul alag hai,

par dono hi apni kabiliyat ke liye mashoor hai,

Sapne, Sapne to Aasman hai, Jinki koi seema hi nahi,

Par Haqeeeqat to Aag se Bhare angaare hai, Jin par chal pana itna aasan nahi.

Sapne to woh raah hai, Jo hume kuch karne k liye prerit karti hai,

par haqeeqat, haqeeqat to un sapno ko bhi tod deti hai.

To kya ab haqeeqat ko dekhkr, sapne dekhna chod de,

ya apni khwaisho ke rukh ko hi mod le,

Agar Nahi, To fir chalo haqeeqat ko swikarte hai,

Apne sapno ko haqeeqat banane me jutt jate hai,

Mehnat kar apni kabiliyat ke rang sajate hai,

Apne sapno ko apni Manjil tak lekar jate hai,

Apne khwabo ke pankho ko or feltate hai,

Thoda Haste hai, Thoda hasate hai,

Chalo na !!!

Apni zindagi ko thoda or kamyab banate hai !!!!..

Written By :
SHIVAM PORWAL
This poem describe the relationship between dreams and the reality

— The End —