Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aug 2021
Mujhe dar nahi hai Duniya ka
dar nahi hai andere ka
dar nahi pyar mein kone ka ya
pyar mein ko kohne ka

Mujhe dar nahi ghum hone ka
mujhe dar nahi girne ka
mujhe dar nahi hai harne ka

Kyuki bhai, mujhe pata hai ki
jab zaroorat pade
aap kade honge mere baju iss duniya ke samne

Andere se aap bhi darte honge
par rahoje mere sath
mujhe darate hue ya pir mera majak udate hue

Jab pyar mein kohi hui main
gussa zaroor karte honge
par chedne ka mooka nahi chodoje

Jab pyar ko he koya
rahoge pass
thamke mera hath

Kabhi kabhi mein rasta bakat ke ghum ** jati hoon
teri gabrahat ** ya na ** teri baduri ki lambhi kisse me
par kisse ke akhar main
tum hamesha mujhe dond loge

Mujhe dar nahi hai Duniya ka
dar nahi hai andere ka
dar nahi pyar mein kone ka ya
pyar mein ko kohne ka

Mujhe dar nahi ghom hone ka
mujhe dar nahi girne ka
ya pir harne ka
kyuki bhai, aap har maane nahi diye mujhe.
Written by
Gyara Pragathi  20/India
(20/India)   
1.1k
 
Please log in to view and add comments on poems