Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sep 2020
Bhale se door hain hum tum Bhale se chu nahi sakte. ...
Bhale se saath saath hum is safar mein chal nahi sakte....

Bhale se hum Kadam tu aur maiñ ab  ** nahi sakte......
To kya jo haath mere tere baalon mein nahi tikte. ....

To kya jo honth ki garmi mere honthon pe nahi hai. ...
Bhale se **** tera mujh se kuch lipta sa nahi hai. .....

Mere is dil mein jo ehsaas hai Woh kam to nahi hai. ...
Teri jo rooh chhuti hai mujhe woh kam to nahi hai. ...

Tune hai jo diya woh pyar mujhe kam to nahi hai. ....
Tera na hoke bhi mujh par Jo haq hai kam to nahi hai. ...

Labon pe hai mere muskaan aankhein nam to nahi hai. ...
Meri nida pe tu aayega yaqeen kam to nahi hai. ....

Tere khayaal ki garmi ko main mehsoos karti ***. ...
Tasawwur mein sahi tujh se mulaqaat roz karti ***. ....

Tere wujood se mera yeh jo wujood juda hai....
Marasim kuch tera aisa meri dhadkan se juda hai......

Bhale se tu tadapta hai udhar main bhi tadapti ***....
Tadap mein hain jo yaksaan hum yeh bhi to kam to nahi hai. ....

Tumhara zikr hote hi labon pe yeh jo aati hai. ..
Khushi ki lehr mein woh muskurahat kam to nahi hai. ....

Woh raaton ki woh baaton ke natije kam to nahi hai. ....
Mohabbat ki humari daastaanein kam to nahi hai. ....

Mujhe pukarti hai tere aahon ki woh khamoshi.....
Mujhe sanwaarti hai tere aankhon ki woh madhoshi......

Tamannaon ke dariya pe yeh kashti chal to rahi hai. ...
Ke jab tak saans hai "Ain" teri tujh par mar to rahi hai. ....

Suno zara ke maiñ jo keh rahi *** aaj yeh tum se.....
Maiñ ab tak *** hayat is dehr mein yeh kam to nahi hai. ....

Yeh sab jo zikr hai maine kiya yeh kam to nahi hai. ....
Mana ke paas tu Mere nahi par gham to nahi hai. ...
Ain
Written by
Ain  40/F/UAE
(40/F/UAE)   
979
 
Please log in to view and add comments on poems