Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2019
dil chahta hai choom loo surkh labon ko tere,
bhar lu tumhe umra bhar k liye bahon me meri,
ji loo jindagi bhar tumhe apna bana kar,
bas koi aur parchayi tere siva kareeb kabhi aaye na mere,
jalta hu agar yaad me mai har ghadi,
chahta hu k ek waqt aisa aaye,
k yaaden nahi bas tu hi mujhme thahar jaye,
dekh loo tumhe ji bhar k,
aur choom loo surkh labon ko tere.....
bahut majboor ** gaya hu is judai k silsile se,
ab rasta koi aur dikhta nahi mujhko,
mai chahta hu k simat jaun tujhme,
aur so jaun hardam k liye gesuon ki chaon me tere,
kareeb aakar har pal sanjha kar loo tumse,
tum hardam k liye kareeb aa jao mere,
aur choom loo surkh labon ko tere......
ab kaise kategi jindagi ye meri,
isliye karta hu har pal intjaar tera,
bas yaad karta hu har vo lamha jo sath bitaya tere,
bechain ** jata hu kai baar,
jab sochta hu k koi aur kareeb hai tere,
ab dushman lagti hai duniya sari,
kaise jiyunga mai bin tere,
kareeb aa jao hardam k liye,
dil chahta hai choom loo surkh labon ko tere....
Ankit Dubey
Written by
Ankit Dubey  20/M/New Delhi
(20/M/New Delhi)   
622
 
Please log in to view and add comments on poems