Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Apr 2019
Dil me liye armaan hazaro,
har ek insaan daudta hai..
Sapne pure karne ko apne,
kai baar woh rota hai..
Tanhai ke aasuo ki keemat nahi hoti,
aankhen nam kar akele, fizool hi roya main..
Pata nahi kaise,
par iss daud me jeet kar bhi hara main..

Mushkil hoti hai dagar, agar khud ke liye jeete **,
dusro ke liye jeena aur bhi mushkil hota hai..
Iss raah me kabhi kisi ka saath mile,
woh saath nibhana aasaan nai hota hai..
Meri koshisho me shayad reh gayi kami koi,
jo aaj tak nahi nibha saka isss rishte ko main..
Pata nahi kaise,
par iss daud me bhi hara main..

Khud ki takleefo me shayad gum gaya zyada zara,
jo dikha nahi mujhe mushkile hoti toh sabhi ko hain..
Chizo ko suljhane chala tha,
uss raah me khud hi ulajh gaya main..
Naa mushkile kam hui aur naa takleefe door,
bas dil dukhaya sabke main..
Zindagi shayad daud nahi, par main phir bhi isme hara hu,
kisi aur ka kya kasoor, bas zindagi se hara mai..
Written by
Anonymous  21/M
(21/M)   
832
 
Please log in to view and add comments on poems