Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mar 2018
Udd jayegi ek din chiraiya chhodhkar babul ka ghar,
Basane ek naya aashiyana sabhi ke aankho ko bhar,

Vidai ka hota hai ye kaisi bela,
Kyu hamesha jana padta chhod us kali ko hi akela,

Beegh jati hai mata-pita ki palkein vidai ke pal,
Jab aata us baag me chahchahane wali chidiya ki judai ke pal,

Bahut si yaadein  chhoti aankho me sajaye hue,
Ro rhi hai maa pari ko gale lagaye hue,

Papa ki pyari gudiya aaj sazkar sasural chali,
Tham ke hath humsafar ka ek nye dwar chali,

Jahan  pali badi wo pyari gudiya chali hai aaj us ghar ko chhod,
Karke suna ek aangan ko pita ki aankhon ko bhar,

Na jaane kyu beti ko janam se hi paraya btaya ,
Aakhir kisne ye  riwaz banaya ,

Nikalkar apne **** se ek pita apni jaan ,
Bahut bada dil hai ek pita ka jo kar dete hain kanyadaan ,

Waqt ka kaisa hai ye dastoor 
Na jaane kyu ek beti ko jaana hota hai dur ,

Chali hai aaj papa ki gudiya ,
Chhodhkar apne aangan ki nindiya, 

Yaadon ki jhadi dil mein basakar chali hai maa ki jaan ,
Chhod ke sabkuch apna Banane ek nayi pehchaan,

Babul ki laadli kab ** gayi badi,
Aayi hai dil ko chhune wali ghadi,

Jis  ghar me pali,us ghar ko alwida kaise kahegi,
Maa baba behan bhai bin wo gudiya kaise rahegi,

Vidhata ne ye kaisa niyam hai banaya,
Chhod ghar babul ka,ek naye ghar ko basaya,

Dekh tyad ek bitiya ki us khuda ki bhi *** aankhen bhar,
Udd jayegi ek din chirraiya chhodkar babul ka ghar,
Babul ka ghar.........

Composed by
Sonia Paruthi & Shrivastva MK
For Sonia Paruthi creations visit
Hellopoetry.com/SoniaParuthi
Shrivastva MK
Written by
Shrivastva MK  23/M/INDIA
(23/M/INDIA)   
  7.7k
   ---
Please log in to view and add comments on poems