Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Jan 2018
1 nayi raah ko chunna chahta hoon,
sabse kuch hatkr kuch naya, kuch alag karna chahta hoon,

Ha tum sahi samjh rhe **

mein udna chahta hoon!!!

Bhut kuch paane ki tadap hai abhi mujhme,
Us tadap ko hmesha zinda rkhna chahta hu,
Haan mein udna chahta hoon..

Apne dil me chupe jazbato ko bayyan karna chahta hu,
Apne hunar or kabiliyat se apni pehchan bnana chahta hu ,
Haan mein udna chahta hoon...

Dusro ko sabit krne ke liye nahi apne liye jeena chahta hu,
Apne hatho ki lakeero me mehnat aur kamyabi ke rang bhar dena chahta ***,
Haan mein udna chahta hoon..

Ye alag rasta shyd abhi logo ko samjh nhi aaega,
Kai baar shayd mera mzak bhi bnaya jaega,
Pr fir bhi usi kaam ko puri mehnat, shiddat aur dil ke sath karna chahta hoon,
Haan mein udna chahta hoon..

Aasman ki bulandiyo ko choona chahta hoon
Lakho zindagiyo ke liye 1 misaal Banna chahta hoon...

Haan mein udna chahta hoon
Haan mein udna chahta hoon !!!!



By : Shivam Porwal
Give wings to your dreams and get succeed in life
Shivam Porwal
Written by
Shivam Porwal  22/M/Ujjain India
(22/M/Ujjain India)   
  4.0k
   Shrivastva MK and Lior Gavra
Please log in to view and add comments on poems