Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
Shikwa to bas ek bahana tha... Tujhe mera dil hi jalana tha... Kashish ranjish yun banti gayi... Kehne ko to ek fasana tha. ... Pal Pal tujh par hi lutana tha Meri zeest se yeh hi karana tha Meri rooh par chaya hua tha jo Saanson ka wohi tarana tha Teri chaah ko apna banana tha Meri koshish ka woh nishana tha Teri zid ka zarb magar mujh par Jo pada to bas qatilana tha... Nibha lo rasm e kafan ki ab Anjaam e wafa yun sikhana tha.... Bejaan sa **** yun pada hai ab..... Ke "Ain" e arz hi ab thikana tha....
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:00 AM UTC
Dafn e Ishq

Ain
Written by
40/F/UAE
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:00 AM UTC
Request permission to use this poem