Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
Ehsaas kay dareechay main Baynaam sa aik shahar basta hai Har roz wahan log uth-tay hain Qaroobar kay hangaamon main Koe mun dho kar nikalta hai Koe bay- awaz surr pay sarr dhunta hai har roz wahan aik kahani hai Jo tmhain mjhay sunani hai Har saa-at wahan aik tamasha hai Jo rukta aur shaur machata hai Raat ki taareeki main Jab sab thak kar laut aatay hain Apnay **** ki thakawat ko Wo  khawaboon kay ka-andhay utartay hain Aur yunhi so jatay hain..... Ehsaas kay dareechay main Jo aik bay- naam sa shahar basta hai Uss basti ki sab hastion main Chupa bacha din bhar hansta hai Aur shab dhalay, sarhanay mun day kar rota rahta hai.....
0
Nov 14, 2018
Nov 14, 2018 at 1:55 PM UTC
Shab bhar!

hira-malik
Written by
Nov 14, 2018
Nov 14, 2018 at 1:55 PM UTC
Request permission to use this poem