Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
Tum se yeh mohabbat ka jo shewa Maine pehna hai Ab kya kahun ke kafan ka kapda Maine pehna hai Har shai mein teri yaadon ka sehra maine pehna hai Kaanton se jo bana hai woh zewar Maine pehna hai pal bhar ka wasl phir wada e hijr maine pehna hai Anjaam e ishq ka yeh naya tamgha Maine pehna hai Wafa ke ghar jafa ka yeh keechad maine pehna hai Ilzaamon ke rangon ka ek saaya maine pehna hai... Kya kahun Ae Ain ishq mein kya kya Maine pehna hai Haya ko karke tark libaas e behaya pehna hai...
0
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:27 AM UTC
Maine pehna hai...

Ain
Written by
40/F/UAE
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:27 AM UTC
Request permission to use this poem