TERI ANKHE KUCH KAH RAHI HAI
MERI SANSE TERE SNSO ME BUS RAHI HAI
KITANI GAHARI HAI TERI ANKHE
MERE BHAWANO KA SAMNDAR
TUJHE DEKHATI HAI OR JIYE JA RAHI HAI
TUJHE DEKHATI HAI OR JIYE JA RAHI HAI —
Toote se ek gharondey mein
kuch daraar si hai
jahan se ek awara dhoop ka katra
ek parindey ko uske khwaabon se jagata hai
thoda alsata sa wo kuch ghabrata sa wo
darwaze ke paas jaake har baar palat jaata hai
Use dekh ke na jaane main kyun bechain hota hun
Fikr-e-akhirat mein apni shaksiyat ko khota hun
Uski udaan ki mayoosi se waakif meri pehchan bhi hai
thoda adhura wo khud hai
thoda adhura mera aasmaan bhi hai
Band hai is shahar ki hawa,
Jeene ka kuch asar nahin mujhpe,
Kuch duur se ati koi awaaz, kahin yun hi kho jati hai,
Deewaron se takrakar,mere paas yun ati hai
Kis aur jaun, har simt se nawakif main aksar kho jaata hun
Andheri raaton mein akela khud ko pata hun
khud ke ehd ki zanjeeron mein, darakht si meri jaan bhi hai
thoda adhura main khud hun
thoda adhura mera aasmaan bhi hai
- طارق
కొల్లికే రానీ గొడవే నాది కొంటె గానే నన్ను చేరింది పోటి పడే పంతం ఇది
. . కోట్లల్లో నే మునిగిన కాసు బుసు లాడి నన్ను katestadi . .
climax లేని కదా లాగా నన్ను చివరాకరి దాకా తరుముతుంది . .
వెంటాడే నాగిని లా ఆణువణువూ బుస కొడుతుందే . .
గతలనే తవ్వాల . . నా గోడు అందరికి వినిపించాల . . .
Kuch kuch hota hai అనుకోవాలా . .
Kaho na pyar hai అని వెతకాల . .
.phir phir milenge milenge అంటూ కాలవల . .
Chelta cheltha అంటూ చేరాల . .
Koyi mil gaya అంటూ ఏదో పొందాల . . .
dil vale dhulhania lejay అంటూ దిల్లును లేపుకు పోవాలా. .
ledha om shanti om అంటూ శాంతం గా ఉండిపోవాలా
Nikle to hum bhi the ghar se yahi soch kar ki shayad is bar manzil tak pahuch jayenge,
kyunki daudna to unhone hume bachpan mein hi sikha diya tha yeh kehkar,
ki agar nahin bhagoge to woh tumhe peeche chod jayenge.
Daudne ki kuch aisi adat se ho gayi hai ki pair ab rukne ka nam hi nahin lete,
lekin hume kya pata tha ki itna age nikal ane se, apne hi paraye,
aur woh sabhi raste anjane se ho jayenge.
Sabse door rehte hue bhi, in anjanon ki bheed mein woh ek chehra apna sa lagta tha,
lekin woh bhi hamesha kisi aur chehre ki talash mein rehta tha.
Sahi raste ko dhoondhne nikle to the, magar yeh nahin pata tha ki itni jaldi thak jayenge.
Kabhi kabhi to lagta hai ki ab ruk jana chahiye, thoda aram kar lena chahiye,
lekin woh bhi namumkin lagta hai kyunki, ab to sapne bhi ajeeb se ate hain.
Chalte chalte, wade to kafi kiye the is safar mein, kuch unse, kuch apne ap se,
lekin yeh andaza bhi nahin tha ki un sabhi umeedon par pani ferte hue chale jayenge.
Yeh mehsoos bhi nahin hua ki apne hi apnon ke pankh kat chuke the,
talash thi to bas us kandhe ki jo is ladkhadate hue ko sahara de sake.
Fir bhi, dheere dheere is katon ki chadar par age badna hai, dil yahi kehta rehta hai,
kyunki jhoothi hansi ki kuch aisi adat si ho gayi hai, ki ab chahte hue bhi dard ka ehsas nahin hota hai.
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.
Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi ho.
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.
Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.
Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.
Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta hun ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.
Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.
Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed ho.
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
